Jhoota Zamaana
|
Jhootha hei yeh zamaana Chhupata hei kiya-kiya yehe maine jaana Dikhawati hei yei zindagi Banawati hei bandagi Ek dusre ko dekh kar jeete hei yahan sab Ek doosre se hodd laga kar aage apne ko mante hei yahan sab Sheesha sheesha samne rakh kar, kiya tasweer banayi hei Zindagi mei kuchh paya, kiyon jhooti tasalli dilayi hei Khawab sapno ke, hakikat mei dhoraye jatein hein Neend khulna yahan maut kehlaye hei Batao mujhe agar sachcha hei zamana, to apne murde kiyon yahan chhipana Dikhao mujhe ki jo putla hasata aaj mujhe Ek din wahin sun-saan pada payoonga use Bejaan mitti bana hoga Chhuoonga usei to jindagi ka lakh guna ehsas yaad dilayega mujhe Ek hasta chehra dikha ke Zamana behkaata hei kise-kise Tann chhupata hei, Mann chhupata hei Jindagi ki gaadi jo chalata hei Dhakka bhi hami se lagwata hei Bina story-line ki film ko jeewan yeh batlata hei Maana bechaare ke paas itni hi khabar hei Aise mei uska bandobast jabardast hei Bina baat ke matlab jo nikala hei Lekin yeh hamne itni der mei samajh paaya hei Aisa usne chhipaya hei, Space se solid matter jo banaya hei Hakikat jo hei, hum tumhe batate hein Jamoore ki bhi madaari mei tarakki karate hei Hasti teri tujhe samjhate hein Ei hava ke jhonke, fizaon ki sachchayi tujhi se uthwatein hein Yaaro, yaar kiya hei, dil-daar kiya hei Wei nahin to mei kaise Wo nahin to mei kaise Tu nahin to mei kaise Tu hei to mei hoon, mei hoon to tu hei, Jaise sapna tabhi tak, jab tak mei rama usme ! Ei O Jamane, teri hasti hei hami se !! Jamaana chhipata na jaane kiya-kiya Yeh sab to jaana hamne abhi se ... "Baaki sab moh-maaya" [copyright Jassi] -- Bhagwat ( The Creator ) This is my first life ... I like this place. |
Want to comment ? Share your thoughts...
Email me! [email protected]© 2005 Bhagwat Bhaskar. All rights reserved.